اردو हिंदी
KHud-kushi ka alamiya | Shaahi Shayari
KHud-kushi ka alamiya

Nazm

KHud-kushi ka alamiya

Anjum Irfani

;

motor ke pahiye bijli ke khambe pe chand chhinTe kuchh
chikni saDak pe dur tak ek surKH si lakir

footpath pe kuchh ja-ba-ja dhabbe siyah o surKH
nali ke gadle pani ke sine pe chand dagh

baundary-wall par bhi kuchh spot khurdure
chehron pe rahgiron ke na-KHush-gawar naqsh

mahaul mein ek lamha ko be-nam sa tanaw
aankhen meri ubal paDin hairan rah gaya

goya ki aaj tak ka kiya raegan gaya
dariya agar nahin to rawan ju-e-KHun sahi