chup-chap raho
warna KHamoshi ki chadar
chaak ho jaegi
mumkin hai is ki ye paki bhi
paki na rah jae
aur yahin phir din ke Dhalne par
ehsas-e-gunah baDh jae
paki, paki na rah jae
aur yahin ye KHamoshi ki chadar
oDh na pae
koDh man ka wo ban jae
behtar hai chup-chap raho
is KHamoshi ki chadar ko
gard-e-ana se dur rakho
KHud ko duniya se dur rakho
duniya KHud ban jao
apne andar tah-dar-tah baatin mein
ek jahan aabaad karo
aKHlaq o sadaqat
sabr-o-qanaat
abd o riyazat
samten ban jaen
arz o sama ban jaen
KHud ko KHud mein tahlil karo
apni phir takmil karo
Nazm
KHud ko KHud mein tahlil karo
Sahil Ahmad