zamin ab chalte chalte thak chuki hai
samundar KHushk hota ja raha hai
falak bhi kitna buDha ho chuka hai
sitare raushni khone lage hain
ye sayyare jo gardish kar rahe hain
ye sayyare zamin par aa gae hain
bikhar jaega ye shiraaza ek din
sabhi zi-ruh sare jaanwar insan
ye ek ek sans mangenge zamin par
bigaD jaega jis din bhi tawazun
hamari kaenat-e-rang-o-bu ka
zamin par husn-e-fitrat ko na kuchlo
ye puri nasl aadam ke liye ek KHud-kushi hai
Nazm
KHud-kashi
Naseem Ansari