اردو हिंदी
KHud fareb | Shaahi Shayari
KHud fareb

Nazm

KHud fareb

Zia Jalandhari

;

nahin nahin mujhe nur-e-sahar qubul nahin
koi mujhe wo meri tirgi ata kar de

ki main ne jis ke sahaare bune the KHwab pe KHwab
hazar rang mere mu-qalam mein the jin se

bana bana ke but-e-arzu ki taswiren
siyah parda-e-shab par bikher din main ne

rawan the mere rag-o-pai mein an-ginat naghme
wo dukh ke git jo lab-ashna nahin ab tak

main tira-baKHt tha is tirgi ke daman mein
sakun nasib tha nakaam aarzuon ko

main apne KHwabon se tarik raat se KHush tha
na jaane kyun palaT aai ho sail-e-nur ke sath

main ji raha tha tumhaare baghair bhi lekin
tumhaari yaad mein main ne wo but banae hain

jo aaj tum se bhi baDh kar aziz hain mujh ko
wo but mere hain mujhe chhoD kar na jaenge

main apne-ap se be-his buton se KHush tha magar
tum aa gai ho meri tirgi pe hansne ko

tumhaare sath kai gham bhi lauT aae hain
nahin nahin mujhe ab soz-e-gham ki tab nahin

nahin sahar nahin tabir mere KHwabon ki
nahin mujhe na jagao ki mere KHwabon mein

tumhaara aks mujhe ab bhi pyar karta hai