kabhi kabhi main
jab apne andar se jhankta hun
to mere bahar ki sari duniya
mere muqabil khaDa hua
zalimon ka lashkar dikhai deti hai
aur main KHud ko apne bahar ke aadmi ko
ajib si be-talluqi se
ek ajnabi ban ke dekhta hun
magar wo bahar ka main
isi zalimon ke lashkar se
hai nabard-azma musalsal
kabhi wo zalim pe hamla-awar
kabhi wo mazlum ki himayat mein
dil-figar o malul o giryan
wo mere andar ke main se kahta hai
bahar aao
fasil Dhao
hisar toDo
hamari saf mein
tumhein bhi aaKHir
kabhi to hona paDega shamil
Nazm
KHud-ehtasabi
Rashid Aazar