khokhle bartan ke honT
sada ke khokhle but par
wo apni ungliyan ghiste rahenge
andhere narKHare se
bas hawa ki raft o aamad ka nishan
malum hota hai
zaban par sabz dhabbe paDte jaenge
chamakte sabz dhabbon mein ThiThurte aaine nili duaon ke
koi ye un se kah do
ki aawazen khaDakne ke siwa ya
dhaDdhaDane shor uThne ke siwa
taza nahin hotin
sada ka dewta
apne parinde le ke wapas ja chuka hai
Nazm
Khokhle bartan ke honT
Aslam Emadi