aao lawn mein baiThen
sham ka suraj dekhen
zard KHizan ki sargam se
ji ko bahlaen
jangal ko ek git sunain
surKH sunahre
peD se girte
dard ke patte
hath mein le kar
un ki rekhaon ko dekhen
patton ko chuTki mein ghumaen
apne apne hath ki donon paDhen lakiren
ek duje ki aankhon ki gahrai mein utren
phul saje hain jo gul-dan mein mez ke upar
un ko chumen
dudh ke jaise ujle cupon mein
ketli se tum chae unDelo
bina shakar aur bina dudh ki chae sunahri
achchhi lagti hai jab pyar ki baat karen
mazi ke qisse dohraen
hanste hanste aankhon mein aansu aa jaen
in baaton se chae miThi ho jati hai
aao lawn mein baiThen
chini chae piyen hum
Nazm
KHizan mein chini chae ki dawat
Fay Seen Ejaz