zawal par thi bahaar ki rut
KHizan ka mausam uruj par tha
udasiyan thin har ek shai par
chaman se shadabiyan KHafa thin
un hi dinon mein thi main bhi tanha
udasi mujh ko bhi Das rahi thi
wo girte patton ki sukhi aahaT
ye sahra sahra bikharti haalat
hami ko meri kuchal rahi thi
main lamha lamha sulag rahi thi
mujhe ye irfan ho gaya tha
haqiqat apni bhi khul rahi thi
ki zat apni hai yun hi fani
jo ek jhaTka KHizan ka aae
to zindagi ka shajar bhi is pul
KHamosh-o-tanha khaDa milega
mizaj aur KHush-rawi ke patte
dilon mein logon ke misl-e-sahra
phirenge mare ye yaad ban kar
kuchh hi dinon tak
magar muqaddar hai un ka fani
ke lakh patte ye shor kar len
mizaj mein sar-kashi bhi rakh len
ya girya kar len udas ho len
to farq use ye bas paDega
zamin un ko sameT legi
zara si phir ye jagah bhi degi
karishma qudrat ka hai ye aisa
uruj par hai zawal apna
har ek ko hai palaT ke jaana
Nazm
KHizan ka mausam
Asra Rizvi