اردو हिंदी
KHiraj-aqidat | Shaahi Shayari
KHiraj-aqidat

Nazm

KHiraj-aqidat

Asrar-ul-Haq Majaz

;

ek naya paghambar-e-amn-o-aman paida hua
karwan mein ek amir-e-karwan paida hua

ek KHizr-e-ahd-e-hazir ek kalim-e-ahd-e-nau
ek sadr-e-mahfil-e-ruhaniyan paida hua

ek hudi-KHwan-e-mohabbat ek naqib-e-ittihad
ek fida-e-soz-e-naqus-o-azan paida hua

haq ka saudai haqiqat ka ilm khole hue
sidq ka shaida safa ka pasban paida hua

sar-ba-sar ek muzhda-e-taskin-e-mardan-e-zaif
quwwat-e-bazu-e-yaran-e-jawan paida hua

is chaman ki sarzamin hai ru-kash-e-haft-asman
is chaman mein tair-e-arsh-ashiyan paida hua

ek gul-e-taza jo murjha kar bhi murjhaya nahin
safha-e-hasti pe naqsh-e-jawedan paida hua

KHun se is ke aaj bhi gul-rang hai KHak-e-watan
faKHr-e-alam nazish-e-hindostan paida hua