(tisri duniya ke tamam logon ke nam)
ajab hadsa hai
ki bachpan mein hum jin khilaunon se khele the
ab wo khilaune
hamare hi haalat se khelte hain
wo nazuk mujassame
wo rangin guDiyaen
tayyare pistol
fauji sipahi
kabhi jo hamare ishaaron ke mohtaj the
aafrin tujh pe meyar-e-gardish
ki ab wo khilaune
hamein chabiyan bhar rahe hain
hamare maweshi hamare hi baghat ko char rahe hain
khilaunon ke is khel mein
hum to yun kho gae hain
ki har kaam ki hum se ummid rakh lo
agar koi taqwe ki chabi ghuma de
to daDhi baDha len
agar koi thoDi si qimat laga kar
kisi shaKHs ka ghar bata de
to agle hi pal mein us ki gardan uDa den
hamara hai kya
hum to andhe muazzin hain
bazu pakaD ke jo garje mein le jaoge
to bhi maryam ki taswir ke samne
ungliyan kan mein Thuns lenge
hamara hai kya
hum to patthar ki wo murti hain
jise chahe sajda karo
ya tamacha laga do
magar wo to hathon se chhati chhupae
sada muskuraati rahegi
Nazm
Khilaune
Waheed Ahmad