der se ek na-samajh bachcha
ek khilaune ke TuT jaane par
is tarah se udas baiTha hai
jaise mayyat qarib rakkhi ho
aur marne ke baad har har baat
marne wale ki yaad aati ho
jaane kya kya zara tawaqquf se
soch leta hai aur rota hai
lekin itni KHabar kahan us ko
zindagi ke ajib hathon mein
ye bhi miTTi ka ek khilauna hai
Nazm
Khilauna
Waseem Barelvi