khiDki andhi ho chuki hai
dhul ki chadar mein apna munh chhupae
kali saDken so chuki hain
dhup ki nangi chuDelon ke sulagte qahqahon se
ja-ba-ja peDon ke sae jal rahe hain
mez par gul-dan mein hanste hue phulon se
miThe lams ki KHushbu ka jharna bah raha hai
ek saya aaine ke kan mein kuchh kah raha hai
ahd-e-rafta ki gilahri
KHub-surat dum uThae
roTi ke TukDe ko danton mein dabae bhagti hai
ek makDi
maghribi kone mein jala bun rahi hai
shahr KHali ho raha hai
kya tum apni zindagi se mutmain ho?
han nahin hun
KHair jaane do suno
masjid ka wo buDha moazzin
KHair ki jaanib bulata hai tumhein
apna gham kis se kahen
Nazm
KhiDki andhi ho chuki hai
Adil Mansuri