اردو हिंदी
KhiDki | Shaahi Shayari
khiDki

Nazm

KhiDki

Ambarin Salahuddin

;

meri jaisi nazmen likhne wali laDki
jis khiDki ki oT se mujh ko dekh rahi hai

us ke dhundle shishon par sab aks hain
meri aankhon se bahte pani ke

aur naqsh hain us ki chaukhaT par un hathon ke
us khiDki ki aankhon se dekha hai main ne

achchha aur bura lamha
aur andar aur bahar ke sab mausam wahin se guzre hain

is khiDki ke aage girta har manzar taswir kiya
din ki ujli aahaT ko tabir kiya

raat sitaron se bhar kar shishon mein unDeli
apni aankhen de kar taq mein phulon jaise KHwab sajae

apne tan par gard lapeTi
khiDki par kahin jam nahin jae

bahar se aate kankar patthar aur kanTe
chupke se is dil mein chhupae

khiDki ka koi bhi shisha TuT na jae
bas itni si baat ka koi dhyan na aaya

khiDki aaKHir kisi bhi samt ko khul sakti hai
meri riyazat meri mohabbat

tund hawa ke is jhonke se
aur barish ki tez phuwar se

chand lamhon mein ghul sakti hai
dhul sakti hai