ya-rab tere bandon se qaza khel rahi hai
ek khel ba-unwan-e-dagha khel rahi hai
jis khel ko sarsar ne bhi khela na chaman mein
us khel ko ab baad-e-saba khel rahi hai
uljhe hue haalat ke tewar hain KHatarnak
badle hue mausam ki hawa khel rahi hai
rindan-e-tahi-dast saza-war-e-subu hain!
TuTi hui tauba se ghaTa khel rahi hai
laghzida qadam izn-e-KHirad mang rahe hain
duzdida nigahon mein haya khel rahi hai
aurang-e-shahi hech hai rindon ki nazar mein
mahlon ki bulandi pe qaza khel rahi hai
ehram se jubbe se musalle se aba se
'shorish' meri be-KHauf nawa khel rahi hai
Nazm
Khel
Shorish kashmiri