aao
kahin se thoDi si miTTi bhar laen
miTTi ko baadal mein gundhen
nae nae aakar banaen
kisi ke sar pe chuTiya rakh den
mathe upar tilak sajaen
kisi ke chhoTe se chehre par
moTi si daDhi phailaen
kuchh din in se ji bahlaen
aur ye jab maile ho jaen
daDhi choTi tilak sabhi ko
toD-phoD ke gaD-maD kar den
mili-juli ye miTTi phir se
alag alag sanchon mein bhar den
nae nae aakar banaen
daDhi mein choTi lahrae
choTi mein daDhi chhup jae
kis mein kitna kaun chhapa hai
kaun batae
Nazm
Khel
Nida Fazli