salam mere rafiqon ko ham-nashinon ko
sapaT chehron ko be-mehr-o-lutf sinon ko
koi habib-e-masarrat na koi munis-e-gham
na dil mein josh na yara-e-dard sinon ko
koi farogh na koi numu ki yaron ne
rakha hai kar ke musattah tamam zinon ko
mila na haif! ghul-arai ka mizaj kabhi
mere KHulus ke KHirman ke KHosha-chinon ko
falak ne zinat-e-nisyan bana ke chhoD diya
rusum-e-lutf ko dil-jui ke qarinon ko
gharaz ki tund hawaon ne kar diya banjar
wafa ki kisht ko isar ki zaminon ko
shikasta kar diya badli nazar ke tufan ne
KHud-e'timadi ke Dhaale hue safinon ko
nazar mein kaj-nigahi lab pe maslahat-goi
KHutut-e-ruKH ne ubhaara hai dil ke kinon ko
KHilaf-e-waza ho bhule se gar ye sher-e-'anis'
sunae 'saz' koi mere ham-nashinon ko
KHayal-e-KHatir-e-ahbab chahiye har dam!
'anis' Thes na lag jae aabginon ko!
Nazm
KHayal-e-KHatir-e-ahbab
Abdul Ahad Saaz