اردو हिंदी
KHayal | Shaahi Shayari
KHayal

Nazm

KHayal

Afroz Alam

;

bachpan mein man-bap ka saya
jawani tanha tanha

aaj KHayal ke galiyare se
kis wadi mein pahuncha hun

jahan mujhe aisa lagta hai
tanhai sannaTa ban kar

mera pichha karti hai
shayad koi yaad ka saya

ek monis ek sathi hai
kabhi kabhi

aisa lagta hai
ye gulnar jiwan mera

aise moD pe chhoDega
jahan na koi sathi hoga

aur na koi monis
bas meri tanhai hogi

bite dinon ki yaaden hongi
aise KHayalat satate hain

jab jab main tanha hota hun