naf kaTti hai zaKHm jalta hai
KHauf dhaDkan ke sath chalta hai
har rag-e-jaan mein sarsaraata hai
sans ke sath aata jata hai
khaal ko chhaal se milati hai
sansani raungTe banati hai
taq-e-jaan mein charagh rakhta hai
KHauf-e-wahshat ka tel chakhta hai
sajda-e-gham mein gir gaya zahid
sarsaraati jabin mein KHauf liye
ho gaya angbin se namkin
zaiqa aastin mein KHauf liye
sanp lashkar ke sath chalta hai
memana maysara mein KHauf liye
husn ghamze ke dam se qaem hai
apni har har ada mein KHauf liye
zindagi ek farsh hai jis par
Dar uThaen to haul bichhta hai
shahrah-e-hayat ke upar
KHauf ka tarkol bichhta hai
mazhab ijad karta rahta hai
mabad aabaad karta rahta hai
ye to andar ki sang sari hai
KHauf barbaad karta rahta hai
fahm o danish ke zard saudagar
waswason ki kapas bechte hain
ruh ki market un ki hai
jo aqide hiras bechte hain
zindagi ham-safar hai lekin KHauf
raste mein utar deta hai
parcha-e-jaan ke har shumare mein
wahima ishtihaar deta hai
maut KHud marti nahin jitna
maut ka KHauf mar deta hai
Nazm
KHauf nama
Waheed Ahmad