اردو हिंदी
KHauf ka qahr | Shaahi Shayari
KHauf ka qahr

Nazm

KHauf ka qahr

Shahryar

;

wo baDh raha hai meri samt ruk gaya dekho
wo mujh ko ghur raha hai wo us ke hathon mein

chamakti chiz hai kya aur us ki aankhon se
wo kaisi surKH si sayyal shai Tapakti hai

wo us ke honT hile wo babul ki shaKHen
karahne lagin, wo chil aur kawwon ke

paron ke shor se sannaTon ka fusun TuTa
wo chaunk uTTha wo pichhe muDa wo chalne laga

wo tez tez bahut tez tez chalne laga
wo ek ghubar sa wo dhund si nigahon ki

hadon se dur bahut dur ja chuka hai wo
wo kaun tha wo meri samt baDh raha tha kyun?