اردو हिंदी
KHauf-e-sahra | Shaahi Shayari
KHauf-e-sahra

Nazm

KHauf-e-sahra

Shaz Tamkanat

;

kya hua shauq-e-fuzul
kya hui jurat-e-rindana meri

mujh pe kyun hansti hai tamir-e-sanam-KHana meri
phir koi baad-e-junun tez kare

aagahi hai ki charaghon ko jalati hi chali jati hai
dur tak KHauf ka sahra nazar aata hai mujhe

aur ab sochta hun fikr ki is manzil mein
ishq kyun aql ki diwar se sar Takra kar

apne mathe se lahu ponchh ke hans paDta hai