na-gahan aaj mere tar-e-nazar se kaT kar
TukDe TukDe hue aafaq pe KHurshid o qamar
ab kisi samt andhera na ujala hoga
bujh gai dil ki tarah rah-e-wafa mere baad
dosto qafila-e-dard ka ab kya hoga
ab koi aur kare parwarish-e-gulshan-e-gham
dosto KHatm hui dida-e-tar ki shabnam
tham gaya shor-e-junun KHatm hui barish-e-sang
KHak-e-rah aaj liye hai lab-e-dildar ka rang
ku-e-jaanan mein khula mere lahu ka parcham
dekhiye dete hain kis kis ko sada mere baad
'kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq'
'hai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere baad'
End of the Rain of Stones
Nazm
KHatm hui barish-e-sang
Faiz Ahmad Faiz