KHatib-e-azam arab ka naghma ajam ki lai mein suna raha hai
sar-e-chaman chahchaha raha hai sar-e-wigha muskura raha hai
hadis-e-sarw-o-saman nichhawar zaban-e-shamshir is pe qurban
musailama aise jal-sazon ki beKH o buniyaad Dha raha hai
qurun-e-ula ki razm-gahon se murtaza ka jalal le kar
dabiz ninden jhinjhoDta hai mujahidon ko jaga raha hai
hain us ki lalkar se hirasan mohammad-e-mustafa ke baghi
wafa ke jhanDe gaDe hue hain ghanim par dandana raha hai
main us ke chehre ki muskurahaT se aisa mahsus kar raha hun
ki jaise kausar pe sham hote koi diya jhilmila raha hai
wo mard darwesh jis ko haq ne diye hain andaz-e-KHusrawana
usi ki surat ko tak raha hai safar se lauTa hua zamana
Nazm
KHatib-e-azam (sayyad ata-ullah-buKhaari)
Shorish kashmiri