roz-o-shab rahta hai mujh ko un ke KHat ka intizar
kis tarah bahlaun dil ko kis tarah paun qarar
dar pe bandhe TukTuki main dekhti hun bar bar
pas mere aaj shayad aaega paigham-e-yar
pa ke aahaT nama-bar ki kuchh sukun pati hun main
ek hayat-e-nau mujhe milti hai khil jati hun main
dur hoti hai taDap kafur ho jati hai yas
dekhti hun shauq ki nazron se apni aas-pas
nama kya aaya ki goya aa gae wo mere pas
phul jati hun masarrat se badalti hun libas
paDhti rahti hun main pahron ant kuchh mata nahin
dard-o-gham ki dastan bhi KHatm hoti hai kahin
KHat ko aankhon se laga kar chumti hun dam-ba-dam
taki qalb-e-muztarib ki sari betabi ho kam
tolti hun harf sare ishq ki mizan mein
aur samo leti hun un ka husn apni jaan mein
Nazm
KHat ka intizar
Ameer Aurangabadi