KHarabi ka aaghaz
kab aur kahan se hua
ye batana hai mushkil
kahan zaKHm khae
kahan se hue war
ye bhi dikhana hai mushkil
kahan zabt ki dhup mein hum bikharte gae
aur kahan tak koi sabr hum ne sameTa
sunana hai mushkil
KHarabi bahut saKHt-jaan hai
hamein lag raha tha ye hum se ulajh kar
kahin mar chuki hai
magar ab jo dekha to ye shahr mein
shahr ke har mohalle mein har har gali mein
dhuen ki tarah bhar chuki hai
KHarabi ruen mein
KHwabon mein, KHwahish mein
rishton mein ghir chuki hai
KHarabi to lagta hai
KHun mein asar kar chuki hai
KHarabi ka aaghaz
jab bhi jahan se hua ho
KHarabi ke anjam se ghaaliban
jaan chhuDana hai mushkil
Nazm
KHarabi
Azm Bahzad