اردو हिंदी
KHanjar talash karta hai | Shaahi Shayari
KHanjar talash karta hai

Nazm

KHanjar talash karta hai

Bebak Bhojpuri

;

bashar rumuz-e-muqaddar talash karta hai
qaza-o-qadr ka mehwar talash karta hai

faqih-e-shahr sanam-KHana-e-siyasat mein
siraat-e-din ka rahbar talash karta hai

KHuda ko chhoD ke jamhur ka hawas-pesha
sukun-e-qalb falak par talash karta hai

mazaq-e-adl se begana hai magar insan
fasad-KHana mein yawar talash karta hai

pae najat watan mein ba-faiz-e-azadi
sharif aadmi KHanjar talash karta hai

faza-e-dahr mein taKHrib ka alam-bardar
hayat-saz payambar talash karta hai

tarashta hai barahim-e-asr sad-asnam
charagh-e-tur par aazar talash karta hai

barahna zulmat-e-tahzib mein tan-e-maryam
masih-e-waqt ki chadar talash karta hai

sanam-kade mein tafalsuf ke tira-dil waiz
uwais-o-KHalid-o-bu-zar talash karta hai

ilaj KHatir-e-millat ka pasban-e-haram
lain-e-waqt ke dar par talash karta hai

KHulus-e-din ko baad-az-KHarabi-e-bisyar
zamana aaj mukarrar talash karta hai

tan-e-shuyuKH ba-zahir galim-posh sahi
zamir shahid-o-saghar talash karta hai

dua asiri ki karta hai sahab-e-quran
mafar ghulami se kafar talash karta hai

mazaq-e-faqr hai rahmat asar zamane mein
azab-e-kunz tawangar talash karta hai

jahan-e-shor mein paiham yazid ka lashkar
husain-e-asr ko ghar ghar talash karta hai

sanwar to sakti hai millat ki naseha taqdir
lahu zamane ka tewar talash karta hai

miyan-e-bahr sadaf mein guhar to hai lekin
KHatar-pasand shanawar talash karta hai

zamana batn-e-jahannam mein ek muddat se
nishat-o-kaif barabar talash karta hai

gunahgar hai 'bebak' be-nawa lekin
nabi ka gumbad-e-aKHzar talash karta hai