isi udas khanDar ke udas Tile par
jahan paDe hain nukile se surmai kankar
jahan ki KHak pe shabnam ke haar bikhre hain
shafaq ki narm kiran jis pe jhilmilati hai
shikasta inTon pe makDi ke jal hain jis ja
yahin pe dil ko nae dard se do-chaar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
ye nahr jis mein kabhi lahr bhi uThi hogi
jo aaj dida-e-be-ab-o-nur hai goya
jise hubab ke rangin qumqume na mile
bajae mauj jahan sanp raqs karte the
yahin nigah-e-tamanna ko ashk-bar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
muhib-e-ghaar ke kone pe ye jhuka sa daraKHt
faza mein laTki hui khokhli jaDen jis ki
ye Tahniyan jo hawaon mein thartharaati hain
bata rahi hain ki mazi ki yaadgar hain hum
unhin ki chhanw mein sham-e-junun se pyar kiya
kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya
isi udas khanDar ke udas Tile par
Nazm
KhanDar
Shamim Karhani