main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
qadim raaton ki TuTi qabron ke maile katbe
dinon ki TuTi hui saliben giri paDi hain
shafaq ki ThanDi chitaon se rakh uD rahi hai
jagah jagah gurz waqt ke chur ho gae hain
jagah jagah Dher ho gai hain azim sadiyan
main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin muqaddas, hatheliyon se giri hai mehndi
diyon ki TuTi hui lawen zang kha gai hain
yahin pe mathon ki raushni jal ke bujh gai hai
sapaT chehron ke KHali panne khule hue hain
huruf aankhon ke miT chuke hain
main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin kahin zindagi ke mani gire hain aur gir ke kho gae hain
Nazm
KhanDar
Gulzar