makan jal chuka hai
khanDar hai siyahi hai bujhti hui rakh ki siskiyan hain
meri aankh pur-nam hai
chup-chap gum-sum khaDa hun yahan par
mere aansuon mein
tasawir hain
mazi-o-haal ki
waqt ki manzilon ki
mere zehn mein dastan hai
zamane ke banne bigaDne ki
tamir-o-taKHrib ki dhaDkanon ki
mere kan mein gunjti hain wo narm aur shirin sadaen
jinhen aag ne is makan ke khanDar mein fana kar diya hai
mohabbat ki taqdis
masum shamon ke ashkon ki garmi
dhoen ki taDapti hui dhaariyan
un ka paigham ban kar
fazaon mein shayad bhaTakne lagi hain
meri aankh pur-nam hai phir bhi main KHush hun
mere pas KHwabon ki masum ThanDak
iradon ke raushan sitaron ki narmi
taKHayyul ki bahti hui naghmagi hai
main yaadon ke malbe pe taKHliq ka phul le kar khaDa hun
Nazm
KhanDar aur phul
Balraj Komal