zafrani shabih thi us ki
main bhi tha sabza-e-bahaar ka rang
yun hui tez qurbaton ki dhup
rup bahrup e'tibar ka rang
bich mein aa gai KHizan aisi
barg-e-jazbaat ho gae pile
paD gai ishq par ajab uftad
phir naya mausam-e-siyasat tha
khinch gai phir fasil-e-tafriqat
dur ka Dhol jashn-e-taqribaat
qarz ki tarah husn ki KHairaat
rah gae hath kasa-e-shubhat
ek naqsha hai be-panahi ka
aur is par inayaton ki panah
ishq tha pesha-e-junun pahle
tez tha tesha-e-fusun pahle
ab to ye mangta hai KHun pahle
badle badle hain waqt aur haalat
hukmaran har taraf hue sadmat
shaghl-e-dauran hai sirf shah aur mat
DhunDhta phir raha hun rah-e-najat
KHwab par yun zawal aaya hai
qurbaton par sawal aaya hai
kya hua hum bhi chal na pae sath
ek KHalish rah gai magar jaanan
Nazm
KHalish
Khursheed Akbar