اردو हिंदी
KHalish-e-tassur | Shaahi Shayari
KHalish-e-tassur

Nazm

KHalish-e-tassur

Qayyum Nazar

;

KHamosh hua bheDon ka galla chalte chalte mimya kar
ja pahuncha shayad baDe mein busi raste mein phaila kar

chup-chap khaDa hai dur udhar wo jangal kali chilon ka
sarsabz pahaDon ko pur-haul banane wali chilon ka

aawaz nahin aati ab jhil ki jaanib se murghabi ki
sunsan faza be-jaan hawa mein larzan ruh KHamoshi ki

yun lai dosh pe lash si kya rangin din ki barbaadi ki
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki!

qudarat ke sukut-e-mujassam ki is haibat-za aaraish se
wadi ke zarre zarre ki ham-ahangi ki numaish se

har naqsh-e-shajar har fil-numa patthar duniya hai tilismon ki
had hi nahin aati koi nazar us turfa-fusun ki qismon ki

har shai par KHwab sa tari hai aur main hun sarf-e-be-KHwabi
lene hi nahin deti dam mujh ko meri fitrat-e-simabi

ai kash kabhi kam kar sakti mere bhi dil ki betabi
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki

main masnuat ka parwarda balki insan bhi masnui
mera saman bhi masnui mera iman bhi masnui

basne wala maidanon ke hangama-parwar shahron ka
be-rabt sukun se na-waqif aur shorida-sar shahron ka

main qudarat ke asrar-o-rumuz-e-pinhan se aagah kahan
is andhyar ke athah samundar ki mere dil mein chah kahan

aur mujh ko dikhati hai nur-e-haqiqat ke jalwaon ki rah kahan
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki

ye manzar KHush-aind to hain main in se magar kyun Darta hun
kyun in ki dil-awezi ko wahshat-nak tasawwur karta hun

kyun mujh ko mayassar sang o shajar ka sa bhi sukun-e-qalb nahin
kyun meri duniya is duniya se ja ke basi hai dur kahin

kyun main ne Dala hai apne hi ji ko aap halakat mein
kyun ho hi nahin jata main KHud paiwasta jahan-e-qudarat mein

kyun le hi nahin leti mujh ko apni aaghosh ki wusat mein
ye sham ye gahri tariki ye har lahza baDhti hui tariki