teri rah dekhte dekhte
aankhon ne dekhna hi chhoD diya hai
afsurdagi haDDiyon ke gude mein Tisen mar rahi hai
gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai
lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai
na aane wale tu kab tak na aaega
kaenaton ke KHaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu
kaun se aasman bha gae hain tujhe
kaun se KHala kha gae hain tujhe
KHala hi pasand hain to mere dil mein aa
ki tu ne is se baDa black-hole to abhi tak paida nahin kiya
aa ai KHuda aa
aa mere dil ke KHala mein aa
tu agar har jagah hai to mera dil kyun KHali hai
dil ke athah patal mein DhunDhta hun aur tujhe pata nahin
sochta hun kahin KHala hi KHuda na ho
shayad intizar hi us ki maujudgi ho
shayad adam hi us ka wajud ho
aur nafi us ka isbaat
phir ye soch palTa khati aur dil ke KHala mein utar jati hai
aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai
gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai
aur aahista aahista ek lafz mein Dhal jati hai
KHuda
aur aaKHir mein ek sur rah jata hai
aa
dur kahin kisi ne darbari ka alap chheDa hai
aa
meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain
dil KHun ho kar
aankhon se Tapak paDta hai
aur dil ke KHala mein gunjti hui aawaz pukar uThti hai
main ne to pahle hi kaha tha
yahi KHuda hai
Nazm
KHala aur KHuda
Mohammad Haneef Rame