guphaon jangalon se dur
hum tahzib ki dhun par
tamaddun ki rida oDhe
safar karte rahe hain ek muddat se
magar ye ek haqiqat hai
ki is lambe safar ki ek saat bhi
hamare haq mein kuchh achchhi nahin nikli
darida ho chuki is darmiyan chadar tamaddun ki
giran-bar-e-samaat ho gai tahzib ki har dhun
ab aise mein
zamin ki shakl ko madd-e-nazar rakhiye
to ye mahsus hota hai
ki yun jari raha apna safar
to ek din
phir se na ja pahunchen
guphaon ke andheron mein
Nazm
KHadsha
Arshad Kamal