bail ne gae ka munh chuma KHabar ban na saki
dekhne walon ko irfan-e-nazar ho na saka
ghoDe ne ghoDi ka munh chuma KHabar ban na saki
hinhinaya pe koi ahl-e-KHabar ho na saka
ye KHabar hai ki sar-e-rah kisi laDki ko
chumta pakDa gaya ek sharabi laDka
wahin qanun ki zanjir-e-giran tauq bani
wahin aKHbar ki surKHi ne unhen ja pakDa
main yahi soch raha tha ki sar-e-sham mujhe
jate suraj ke bhi atwar kuchh aise hi mile
us ka munh zard tha ehsas-e-judai hoga
us ne ek badli ka munh chum liya chupke se
dafatan badli ka munh surKH hua aur haya
dauDi KHun ban ke rag-o-pai mein ki gulnar hui
us ke daman pe chhalak uTThe sitare aansu
aur suraj ki tarah KHud bhi wahin Dub gai
wahi tare the magar raat ke aKHbar-farosh
ye KHabar sham se hi sare falak par pahunchi
pahle to lakhon darichon se nigahban jhanke
chandni chhiTki to phir chand ne ki rakhwali
subh-dam nind ke mate the sabhi ahl-e-falak
suraj aaya to kisi ko na raha is ka KHayal
wahi badli thi ufuq par wahi unwan-e-haya
donon takte rahe mabhut nigahon se jamal
phir mohabbat ne kiya sabt salam-e-rangin
surKH badli ka lahu dauD gaya chaar taraf
donon KHush the unhen malum tha aazad hain wo
un ka milna nahin insan ki nigahon ka hadaf
main ne dekhi hai magar donon ki ye gustaKHi
main KHabar deta hun aKHbar ko dekho to sahi
Nazm
KHabar
Yusuf Zafar