ab saba kucha-e-jaanan mein guzre hai ki nahin
tujh ko is fitna-e-alam ki KHabar hai ki nahin
bujh gaya mehr ka fanus ki raushan hai abhi
ab un aankhon mein lagawaT ka asar hai ki nahin
ab mere nam ka paDhta hai wazifa koi
ab mera zikr-e-wafa dard-e-sahar hai ki nahin
ab bhi takti hain meri rah wo kafir aankhen
ab bhi duzdida nazar jaanib-e-dar hai ki nahin
chhup ke raaton ko meri yaad mein rota hai koi
maujzan aankh mein ab KHun-e-jigar hai ki nahin
husn ko pursish-e-bimar ka hai ab bhi KHayal
mehr ki zarra KHaki pe nazar hai ki nahin
be-KHabar mujh ko zamane se kiya hai jis ne
kuchh use meri tabahi ki KHabar hai ki nahin
khae jata hai mujhe dard-e-gharib-ul-watani
dil par is jaan-e-watan ke bhi asar hai ki nahin
'josh' KHamosh bhi ho puchh raha hai kya kya
kuchh tujhe taDne walon ki KHabar hai ki nahin
Nazm
KHabar hai ki nahin
Josh Malihabadi