اردو हिंदी
KHatun-e-mashriq | Shaahi Shayari
KHatun-e-mashriq

Nazm

KHatun-e-mashriq

Josh Malihabadi

;

ghuncha-e-dil mard ka roz-e-azal jab khul chuka
jis qadar taqdir mein likkha hua tha mil chuka

dafatan gunji sada phir aalam-e-anwar mein
aurten duniya ki hazir hon mere darbar mein

auraton ka karwan par karwan aane laga
phir faza mein parcham-e-inam lahrane laga

naz se huren tarane hamd ke gane lagin
aurten bhar bhar ke apni jholiyan jaane lagin

jab raha kuchh bhi na baqi kisa-e-inam mein
kanpti hazir huin phir asia ki aurten

dil mein KHauf-e-shumai-e-qismat se ghabrai hui
roab se nichi nigahen aankh sharmai hui

hilm ke sanche mein ruh-e-naz ko Dhaale hue
gardanon mein KHam saron par chadaren Dale hue

aaKHir is andaz par rahmat ko pyar aa hi gaya
mai-kade par jhum kar abr-e-bahaar aa hi gaya

muskura kar KHaliq-e-arz-o-sama ne di nida
ai ghazal-e-mashriqi aa taKHt ke nazdik aa

nematen sab baT chukin lekin na hona muzmahil
sab ko baKHshe hain dimagh aur le tujhe dete hain dil

ye wahi dil hai jo mazrab hoke soz o saz se
mere pahlu mein dhaDakta tha ajab andaz se

tujh ko wo ruKH apni sirat ka diye dete hain hum
jis mein yazdani nissaiyat ki zulfon ke hain KHam

aa ki tujh ko sahib-e-mahr-o-wafa karte hain hum
le KHud apni jumbish-e-mizhgan ata karte hain hum

pahlu-e-KHatun-e-mashriq mein ba-sad tamkin o naz
muntaqil ho ja uluhiyat ke sine ke gudaz

aurten aqwam-e-alam ki bhaTak jaengi jab
tu rahegi ban ke us tufan mein ek mauj-e-tarab

husn ho jaega jab auron ka waqf-e-KHas-o-am
didani hoga tere KHalwat-kade ka ehtimam

aalam-e-niswan pe kali raat jab chha jaegi
ye tere mathe ki bindi subh ko sharmaegi

aurten bechaingi jab stage par ba-raqs-o-chang
apni aankhon ki lagawaT apne ruKHsaron ka rang

un ke aage har naya maidan hoga jalwa-gah
aur tera stage hoga sirf shauhar ki nigah

godiyan phaila ke jab mangengi ba-sidq-o-safa
aurten aulad ke paida na hone ki dua

muzhda-baad ai asia ki duKHtar-e-pakiza-tar
aanch aaegi na tere madarana zauq par

maon ki ghaflat se jab bachchon ko pahunchega gazand
jab fughan be-tarbiyat aulad ki hogi buland

sirf ek tera tabassum ai jamal-e-tabnak
sina-e-atfal mein paida karega ruh-e-pak

wo hararat tere honTon ki na hogi paemal
jiske shoalon se nikhar jata hai rang-e-naunihaal

wo teri masum ranai na hogi muzmahil
baKHshati hai nasl-e-insani ke pahlu ko jo dil

wo bhi din aaega jab tujh ko hi ai mast-e-hijab
zeb dega mathar-e-aulad-e-adam ka KHitab

jab karegi sinf-e-nazuk apni uryani pe naz
sirf ek tu is talatum mein rahegi pak-baz

unke dil jab honge yaad-e-masiyat se pash pash
tere ruKH par ek bhi hogi na mazi ki KHarash

un ki raaten KHauf-e-ruswai se hongi jab daraaz
tere sine mein kisi shab ka na hoga koi raaz

dahshat-e-farda se tharraega jab un ka ghurur
haal se tu hogi raazi KHauf-e-mustaqbil se dur

jab uDegi un ki chashm-e-dam-e-parwarda mein KHak
narm Dore teri aankhon ke rahenge tabnak

narm honge tere jalwe bhi teri guftar bhi
ba-haya hogi teri pazeb ki jhankar bhi

chhanw bhi hogi na teri bazm-e-naw-nosh mein
tera partaw tak rahega sharm ke aaghosh mein

ai shua-e-arz-e-mashriq teri iffat ka shiar
kaj karega mulk o millat ki kulah-e-iftiKHar

aabru hoga gharane bhar ki tera rakh-rakhao
dega tera bap shan-e-faKHr se monchhon pe taw

teri aankhon ki kiran se ai jahan-e-e'tibar
jagmagaegi nasab-namon ki lauh-e-zar-nigar

bul-hawas ka sar jhuka degi teri adna jhalak
hogi lahje mein tere nabz-e-tahaarat ki dhamak

teri peshani pe jhalkega misal-e-barq-e-tur
tifl ka naz-e-sharafat aur shauhar ka ghurur

ilm se har chand tujh ko kam kiya hai bahra-mand
lekin is se ho na ai masum aurat dard-mand

jab zarurat se ziyaada naz farmata hai ilm
aariz-e-taban ke bhole-pan ko kha jata hai ilm

nutq ho jata hai ilmi istelahon se udas
lal-e-lab mein shahad ki baqi nahin rahti miThas

ilm uTha leta hai bazm-e-jaan se sham-e-etaqad
KHal-o-KHad ki maut hai chehre ki shan-e-ijtihad

qar-e-wahshat ki taraf muDti hai aksar rah-e-fan
jhankti rahti hai is ghurfe se chashm-s-ahraman

chhoD deti takallum ko mulaem qil-o-qal
ilm ka had se guzar jaana hai tauhin-e-jamal

ilm se baDhti hai aql aur aql hai wo bad-dimagh
jo bujha deti hai sine mein mohabbat ka charagh

ilm se baqi nahin rahte mohabbat ke sifat
aur mohabbat hai faqat le de ke teri kaenat

dekh tujh par ilm ki bharpur paD jae na zarb
bhag is parde mein hain shaitan ke aalat-e-harb

ilm se rahti hai paband-e-shikan jis ki jabin
naz se shanon par us ki zulf lahraati nahin

waqt se pahle bula lete hain piri ko ulum
umr se aage nikal jate hain chehre bil-umum

jin labon ko chaT paD jati hai qil-o-qal ki
un ki garmi ko tarasti hai jabin atfal ki

ek junun-parwar bagula hai wo ilm-e-be-wasuq
jis ki rau mein kanpne lagte hain shauhar ke huquq

dur hi se aise ilm-e-jahl-parwar ko salam
husn-e-niswan ko bana deta ho jo jagir-e-am

jis jagah huran-e-jannat ka kiya hai tazkira
kya kaha hai aur bhi kuchh hum ne juz husn o haya

tazkira huron ka hai mahz ek taswir-e-jamal
hum ne kya unko kaha hai sahib-e-fazl-o-kamal

hech hai har chiz zewar ghaza afshan rang o KHal
husn KHud apni jagah hai sau kamalon ka kamal

chandni, qaus-e-quzah, aurat, shagufa, lala-zar
ilm ka in narm shanon par koi rakhta hai bar?

raushnai mein kahin ghulti hai mauj-e-mahtab
kya koi auraq-e-gul par taba karta hai kitab

mere aalam mein nahin is bad-mazaqi ka shiar
kakul-e-afsana ho dosh-e-haqiqat se do-chaar

husn ka aaghosh-e-rangin dil-fareb-o-dilruba
ilm se ban jae aqlidas ka mahz ek daera!

mushaf-e-ru-e-kitabi ru-kash-e-naz-e-gulab
aur ban jae ye neamat daftar-e-ilm-e-hisab

naghma-e-shirin ke daman mein ho shor-e-kaenat
bazm-e-kawish mein jale sham-e-shabistan-e-hayat

garm ho tezab ki khaulan se lale ka ayagh
ghuncha-e-nauras ka taq aur pir-e-maktab ka charag

shahpar-e-bulbul pe khinchi jae taswir-e-shighaal!
motiyon par sabt ho tufan ki mohr-e-jalal

subh gharq-e-bahas ho ghunche khilane ke ewaz
dars den maujen saba ki gungunane ki ewaz

tu na karna maghribi matwaliyon ki race dekh
ghat mein teri laga hai fitna-e-iblis dekh

tu na un ki tarah bharna arsa-e-fan mein chhalang
kokh ta ThanDi rahe bachchon se aur sandal se mang

duKHtaran-e-maghribi ko de na aurat ka KHitab
ye mujassam ho gae hain kuchh gunahgaron ke KHwab

phir rahi hain ya teri nazron ke aage pur-faza
auraton ke bhes mein shaitan ki sartabiyan

ilm hasil kar faqat tadbir-e-manzil ke liye
wo dimaghon ke liye hain aur tu dil ke liye!