main ne apni zindagi
KHwab dekhne laDne aur KHar chunne mein zaea ki
mujhe afsos hai
KHwab mujhe KHush karte rahe
aur mohabbat ke lamhon ko multawi karte rahe
bahut mamuli baaton ke liye
mujhe zalil kiya gaya
aur mere taKHayyul ne
mujhe un logon se tawil jangon mein zaea kiya
jinhen chand lafzon se shikast ki ja sakti thi
meri ibaadat-gah ko kisi ghar se aag nahin mili
mujhe aatish-dan ko raushan rakhne ka tariqa jaanne ke liye
apne dil ko jalana paDa
aur itni dur tak jaana paDa
ki ibaadat-gah ko wapas aana be-mani Thahra
kisi ne mujhe koi tariqa nahin bataya
meri bad-qismati se pahle
koi is rah par nahin aaya
jahan aazad hawaen mere liye kanTe ugati rahin
aur meri zid tumhaare liye raste aasan karti rahi
mujhe afsos hai
meri zaKHmi ungliyan jab tak tumhaare liye
phulon ka haar bana paengi
phul murjha chuke honge
aur tum bahut se tahaif le kar
apni kaamyab mohabbat ka jashn manane ja chuke hoge
Nazm
Khaar chunte hue
Tanveer Anjum