اردو हिंदी
KHanam-jaan | Shaahi Shayari
KHanam-jaan

Nazm

KHanam-jaan

Rais Farogh

;

miTTi ka badan
nache to kiran

wo raushniyon mein nachne wali
KHanam-jaan

us ke hathon ki badli mein
mere baz

apna aangan bhul gae
main ne kaha

main ne teri do aankhon mein
kitne bistar painT kiye

jis waqt ye kamra chhoDunga
apne sare KHwab

tujh se wapas le lunga
KHanam-jaan

us ne kaha
aao subh se pahle

hum tum
pichhle ek baras mein marne walon ki photo dekhen