ab kis liye jahan-e-KHarabi mein ghumna
wo so gai to us ne na dekha ki us ke baad
kitni baDi qatar khule zawiyon ki thi
waqt aa gaya tha wasl-o-mukafat wasl ka
unchi zamin pe rail ki khiDki ke sath sath
ghaaron mein bistaraon mein zamin par razai mein
ab kis liye jahan-e-KHarabi mein lauTna
so aashiyan ko misl-e-kabutar uDaiye
aur din guzar chale to ye bazu sameT kar
angushtari ko aaine par mar soiye
waqt aa gaya hai wasl-o-mukafat-e-wasl ka
Nazm
KHana-ba-doshon ka git
Mohammad Anvar Khalid