darwaze ke shishon se lagi hain aanhken
har goshe mein mazi ki kamin-gahen hain
yaaden hain ki bikhre hon khilaune jaise
kuchh aahaTen kuchh qahqahe kuchh aahen hain
jo log yahan rahte the un ke sae
chup-chap phira karte hain un kamron mein
khoi hui aawaz gae waqton ki
gunj uThti hai manind-e-azan kanon mein
main aaya hun apne yahan mehman ban kar
kuchh roz guzarunga chala jaunga
miT jaega gham duri ka dhire dhire
kya jaaniye phir lauT ke kab aaunga
har sang hai ek sang-e-malamat goya
har katba-e-diwar hai dushnam mujhe
paiman-e-wafa bandha tha main ne un se
ab takte hain hairat se dar-o-baam mujhe
Nazm
KHan-e-matruk
Muneebur Rahman