hawa dhund ke phaile lab chumti hai
kahan zindagi hai?
kahan zindagi ke nishan hain ki tum shahr mein ho
jahan ek hi rup hai jo hamesha rahega
uTho bawle ab tumhein kis tamanna ne manzil ka dhoka diya hai
ki tum sans ki oT mein chup khaDe sochte ho
yahan har nafas be-sada hai
yahan har ghaDi ab sisakti si zanjir
har ek wafa tirgi ka sutun hai
chalo KHwahishen DhunDne
ban-sanwar ke chalo KHwahishen DhunDni hain
nahin to yahi KHamushi bhut ban kar
gharon ke kiwaDon ke pichhe hamesha Daraati rahegi
Nazm
KHamoshi ka shahr
Anees Nagi