اردو हिंदी
KHamosh aawaz | Shaahi Shayari
KHamosh aawaz

Nazm

KHamosh aawaz

Jaan Nisar Akhtar

;

kitne din mein aae ho sathi
mere sote bhag jagane

mujh se alag is ek baras mein
kya kya biti tum pe na jaane

dekho kitne thak se gae ho
kitni thakan aankhon mein ghuli hai

aao tumhaare waste sathi
ab bhi meri aaghosh khuli hai

chup ho kyun? kya soch rahe ho
aao sab kuchh aaj bhula do

aao apne pyare sathi
phir se mujhe ek bar jila do

bolo sathi kuchh to bolo
kab tak aaKHir aah bharungi

tum ne mujh par naz kiye hain
aaj main tum se naz karungi

aao main tum se ruTh si jaun
aao mujhe tum hans ke mana lo

mujh mein sach-much jaan nahin hai
aao mujhe hathon pe uTha lo

tum ko mera gham hai sathi
kaise ab is gham ko bhulaun

apna khoya jiwan bolo
aaj kahan se DhunD ke laun

ye na samajhna mere sajan
de na saki main sath tumhaara

ye na samajhna mere dil ko
aaj tumhaara dukh hai gawara

ye na samajhna main ne tum se
jaan ke yun munh moD liya hai

ye na samajhna main ne tum se
dil ka nata toD liya hai

ye na samajhna tum se main ne
aaj kiya hai koi bahana

duniya mujh se ruTh chuki hai
sathi tum bhi ruTh na jaana

aaj bhi sajan main hun tumhaari
aaj bhi tum ho mere apne

aaj bhi in aankhon mein base hain
pyare ke anmiT gahre sapne

dil ki dhaDkan Dub bhi jae
dil ki sadaen thak na sakengi

miT bhi jaun phir bhi tum se
meri wafaen thak na sakengi

ye to puchho mujh se chhuT kar
tere dil par kya kya guzri

tum bin meri naw to sajan
aisi Dubi phir na ubhri

ek tumhaara pyar bacha hai
warna sab kuchh luT sa gaya hai

ek musalsal raat ki jis mein
aaj mera dam ghuT sa gaya hai

aaj tumhaara rasta takte
main ne pura sal bitaya

kitne tufanon ki zad par
main ne apna dip jalaya

tum bin sare mausam bite
aae jhonke sard hawa ke

narm gulabi jaDe guzre
mere dil mein aag laga ke

sawan aaya dhum machata
ghir-ghir kale baadal chhae

mere dil par jam se gae hain
jaane kitne gahre sae

chand se jab bhi baadal guzra
dil se guzra aks tumhaara

phul jo chaTke main ne jaana
tum ne shayad mujh ko pukara

aain bahaaren mujh ko manane
tum bin main to munh na boli

lakh faza mein git se gunje
lekin main ne aankh na kholi

kitni nikhri subhen guzrin
kitni mahki shamen chhain

mere dil ko dur se takne
jaane kitni yaaden aain

itni muddat baad to piritam
aaj kali hirdai ki khili hai

kitni raaten jag ke sajan
aaj mujhe ye raat mili hai

bolo sathi kuchh to bolo
kuchh to dil ki baat batao

aaj bhi mujh se dur rahoge
aao mere nazdik to aao

aao main tum ko bahla lungi
baiTh to jao mere sahaare

aaj tumhein kyun gham hai bolo
aaj to main hun pas tumhaare

achchha mera gham na bhulao
mera gham har gham mein samolo

is se achchhi baat na hogi
ye to tumhein manzur hai bolo

mere gham ko mere shaer
apne jawan giton mein racha lo

mere gham ko mere shaer
sare jag ki aag bana lo

mere gham ki aanch se sathi
chaunk uThega azm tumhaara

baat to jab hai lakhon dil ko
chhu le apne pyar ka dhaara

main jo tumhaare sath nahin hun
dil ko mat mayus karo tum

tum ho tanha tum ho akele
aisa kyun mahsus karo tum

aaj hamare lakhon sathi
sathi himmat haar na jao

aaj karoDon hath baDhenge
ek zara tum hath baDhao

achchha ab to hans do sathi
warna dekho ro si paDungi

bolo sathi kuchh to bolo
aaj main sach-much tum se laDungi

jag uThi lo duniya meri
aai hansi wo lab pe tumhaare

dekho dekho meri jaanib
dauD paDe hain chand sitare

jhilmil jhilmil kirnen aain
mujh ko chandan-haar pahnane

jagmag jagmag tare aae
phir se meri mang sajaane

aain hawaen jhanjh bajati
giton mora angna jaga

more mathe jhumar damka
more hathon kangna jaga

jag uTha hai sara aalam
jag uThi hai raat milan ki

aao zamin ki god mein sajan
sej saji hai aaj dulhan ki

aao jati raat hai sathi
pyar tumhaara dil mein bhar lun

aao tumhaari god mein sajan
thak kar aankhen band si kar lun

uTTho sathi dur ufuq ka
narm kinara kanp uTha hai

mere dil ki dhaDkan ban kar
subh ka tara kanp uTha hai

dil ki dhaDkan Dub ke rah ja
jagi nabzo tham si jao

phir se meri be-nam aankho
patthar ban kar jam si jao

mere gham ka gham na karo tum
achchha ab se gham na karungi

mere iradon wale sathi
jao main himmat kam na karungi

tum ko hans kar ruKHsat kar dun
sab kuchh main ne hans ke saha hai

tum bin mujh mein kuchh na rahega
yun bhi ab kya KHak raha hai

dekho! kitne kaam paDe hain
achchha ab mat der karo tum

kaise jam kar rah se gae ho
itna mat andher karo tum

bolo tum ko kaise rokun
duniya sau ilzam dharegi

aise pagal pyar ko sathi
sari KHilqat nam dharegi

aao main uljhe baal swarun
mujh se koi kaam to le lo

phir se gale ek bar laga ke
pyar se mera nam to le lo

achchha sathi! jao sidhaaro
ab ki itne din na lagana

pyasi aankhen rah takengi!
lekin Thahro Thahro sathi

dil ko zara tayyar to kar lun
aao mere pardesi sajan!

aao main tum ko pyar to kar lun