jaan-mohamad-KHan
safar aasan nahin
dhan ke is KHali bore mein
jaan ulajhti hai
paT-san ki mazbut salaKHen dil mein gaDi hain
aur aankhon ke zard kaToron mein
chand ke sikke chhan-chhan girte hain
aur badan mein raat phailti jati hai
aaj tumhaari nangi piTh par
aag jalae kaun
angare dahkae kaun
jidd-o-johd ke
KHunin phul khilae kaun
mere shola-gar panjon mein jaan nahin
aaj safar aasan nahin
thoDi der mein ye pagDanDi
TuT ke ek gande talab mein gir jaegi
main apne tabut ki tanhai se lipaT kar
so jaunga
pani pani ho jaunga
aur tumhein aage jaana
ek gahri nind mein chalte jaana hai
aur tumhein is nazar na aane wale bore
apne KHali bore ki pahchan nahin
jaan-mohamad-KHan
safar aasan nahin
Nazm
Khaali bore mein zaKHmi billa
Saqi Faruqi