KHali aaankhon ka makan mahnga hai
mujhe miTTi ki lakir ban jaane do
KHuda bahut se insan banana bhul gaya hai
meri sunsan aaankhon mein aahaT rahne do
aag ka zaiqa charagh hai
aur nind ka zaiqa insan
mujhe pattharon jitna kas do
ki meri be-zabani mashhur na ho
main KHuda ki zaban munh mein rakhe
kabhi phul ban jati hun aur kabhi kanTa
zanjiron ki rihai do
ki insan in se zyaada qaid hai
mujhe tanha marna hai
so ye aankhen ye dil
kisi KHali insan ko de dena
Nazm
Khaali aaankhon ka makan
Sara Shagufta