anjum se baDh ke tera har zarra zau-fishan hai
jalwon se tere ab tak husn-e-azal ayan hai
andaz-e-dil-farebi jo tujh mein hai kahan hai
faKHr-e-zamana tu hai aur nazish-e-jahan hai
uftadgi mein bhi to ham-auj-e-asman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
wo kaj-kulah tere wo surwir tere
wo tegh-zan kaman-kash wo qila-gir tere
napaid aaj hain go taj-o-sarir tere
shahon se hain ziyaada lekin faqir tere
pasti mein sar-bulandi sab par teri ayan hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
manzar wo jaan-faza hain aur dil-pazir tere
jaanen hain tujh pe shaida aur dil asir tere
shirin o saf dariya hain ju-e-shir tere
hain dasht-o-koh-o-sahra jannat-nazir tere
aankhen jidhar uThao firdaus ka saman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
tujh ko miTa diya hai har-chand aasman ne
phunka hai aah dil ko soz-e-gham-e-nihan ne
chhoDi na tab apni par husn-e-dil-sitan ne
jauhar bhare hain tujh mein sanna-e-do-jahan ne
fasl-e-KHizan hai teri phir bhi tu gul-fishan hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
go had se baDh gaya hai ranj-o-malal tera
ab tak miTa nahin hai naqsh-e-jamal tera
aaKHir kabhi to hoga zahir kamal tera
hoga kabhi to aaKHir daur-e-zawal tera
kab ek rawish pe qaem ye daur-e-asman hai
ai KHak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
Nazm
KHak-e-hind
Tilok Chand Mahroom