jiwan to isi shash-o-panj mein guzar jata hai
duniya rahne ki jagah hai bhi ya nahin
wo log jin se hum bilkul milna nahin chahte wahi hum se kyun musalsal mil rahe hote hain
jinhen hum bilkul dekhna nahin chahte wahi kyun musalsal dikhai de rahe hote hain
chahiye to ye tha ki hum apne fuzul dil ko kisi KHairaat-KHane mein rakh chhoDte
to KHairaat dene wale KHairaat ke sath hiqarat bhi banT rahe hote
agar zamin bhar ke peD ek ug kar dobara na ugte
to sath chalne ya sath rahne ka ahd koi bhi nahin karta
nabud bud ko aur bud nabud ko KHair-baad kah chuka hun
tab koi kisi na puchhta ki kaun kya hai kyun hai kaise hai
namaz to faqat niyyat hai magar sire se niyyat hi nahin ki gai
kash kufr hi sachcha hota
aisa hua hi nahin ki aaj tak pani ne pani ko aa liya
aur aag ko aag lag gai
mohabbat ko agar mohabbat lahaq ho jati to koi nahaq ji nahin raha hota
aaKHir aisi mausiqi kahan hai jo aawaz aur samaat se mawara ho
Nazm
KHak-e-bisat
Ahmad Hamesh