jin chizon ka sapna dekha
wo sab chizen pain hain
jag walon ne mehnat ki hai
sari chiz jaTain hain
ab jab sab kuchh pas hai mere
koi bhi romance nahin
ishq ke koi maze nahin hain
Tis nahin hai phans nahin
sapnon ki dharti upjau
sapnon se sapne ugte hain
sapne kis mahaul mein jaane
aate sote jagte hain
ek sawal jo be-mani hai
kya paya hai kya khoya hai
ghurbat ya ki amiri ka ho
paimana koi puKHta hai
aKHtar-ul-iman ne bhai
baDe pate ki baat kahi hai
kaun sitare chhu sakta hai
rah mein sans ukhaD jati hai
Nazm
Kaun sitare chhu sakta hai
Ashok Lal