lab bayaban, bose be-jaan
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
jism ki ye kar-gahen
jin ka haizam aap ban jate hain ham!
nim-shab aur shahr-e-KHwab-aluda, ham-sae
ki jaise duzd-e-shab-gardan koi!
sham se the hasraton ke banda-e-be-dam hum
pi rahe the jam par har jam hum
ye samajh kar jura-e-pinhan koi
shayad aaKHir ibtida-e-raaz ka ima bane!
matlab aasan harf be-mani
tabassum ke hisabi zawiye
matn ke sab hashiye
jin se aish-KHam ke naqsh-e-riya bante rahe!
aur aaKHir buad jismon mein sar-e-mu bhi na tha
jab dilon ke darmiyan hail the sangin fasle
qurb-e-chashm-o-gosh se hum kaun si uljhan ko suljhate rahe!
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
sham ko jab apni gham-gahon se duzdana nikal aate hain ham?
ya zawal-e-umr ka dew-e-subuk-pa ru-ba-ru
ya ana ke dast o pa ko wusaton ki aarzu
kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
Nazm
Kaun si uljhan ko suljhate hain ham?
Noon Meem Rashid