اردو हिंदी
Kaun shaer rah sakta hai | Shaahi Shayari
kaun shaer rah sakta hai

Nazm

Kaun shaer rah sakta hai

Afzal Ahmad Syed

;

lafz apni jagah se aage nikal jate hain
aur zindagi ka nizam toD dete hain

apne jaise lafzon ka gaTh bana lete hain
aur TuT jate hain

un ke TuTe hue kinaron par
nazmen marne lagti hain

lafz apni saKHt aur taqdir mein
kamzor ho jate hain

mamuli shikast un ko KHatm kar deti hai
un mein

TuT kar juD jaane se mohabbat nahin rah jati
in lafzon se

bad-surat aur be-tartib nazmen banne lagti hain
saffaki se kaT diye jaane ke baad

un ki jagah lene ko
ek aur khep aa jati hai

nazmon ko mar jaane se bachane ke liye
har roz un lafzon ko juda karna paDta hai

aur un jaise lafzon ke hamle se pahle
nae lafz phunchane paDte hain

jo aisa kar sakta hai
shaer rah sakta hai