ai yar-e-dil-nashin wo ada kaun le gaya
tere nagin se naqsh-e-wafa kaun le gaya
hal kar diya tha jis ne muamma shabab ka
tujh se wo fikr-e-uqda-kusha kaun le gaya
tha lutf pahle qahr mein ab sirf qahr hai
zulmat se mauj-e-ab-e-baqa kaun le gaya
kyun dafatan labon pe KHamoshi si chha gai
is saz-e-dil-nashin ki sada kaun le gaya
aankhon se shan-e-bazl-o-saKHa kis ne chhin li
sine se zauq-e-lutf-o-ata kaun le gaya
thin jis ki rau se KHun-e-tamanna mein surKHiyan
ruKHsar se wo rang-e-wafa kaun le gaya
raaton ko mangna tha dua meri did ki
wo minnaten wo zauq-e-dua kaun le gaya
ai shah banda-parwar-e-sultan-e-narm-dil
dil se tere KHayal-e-gada kaun le gaya
pahli si wo kalam mein narmi nahin rahi
guftar se mizaj-e-saba kaun le gaya
ab 'josh' ke liye hain na aansu na aah-e-sard
is gulsitan ki aab-o-hawa kaun le gaya
Nazm
Kaun le gaya
Josh Malihabadi