اردو हिंदी
Kaun hai mujrim shahr-e-ilm ki taraji ka | Shaahi Shayari
kaun hai mujrim shahr-e-ilm ki taraji ka

Nazm

Kaun hai mujrim shahr-e-ilm ki taraji ka

Abu Bakr Abbad

;

ye jo baune KHuda bane hain ajib shai se jo lag rahe hain
hain dar-haqiqat ye aadmi hi bas un ki KHaslat juda hai thoDi

ana jo un ki kuchal chuki hai zamir un ka jo mar gaya hai
ye sach hai zehni ghulam hain ab KHabasaton ke imam hain ye

hamesha jhuk kar mile dani se sana mein ratab-ul-lisan ho kar
gunah ko un ke sawab jaana fareb ko la-jawab kah kar

unhi ko aaqa unhi ko malik unhi ko apna KHuda bhi mana
unhi ke hathon jism-o-jaan ko KHudi ko iman ko bech Dala

ba-nam-e-ilm-o-adab jo paya
abdullah-nm-e-abi ki daulat abu-jahl ki wo KHasiyat hai

jo chahen un ko kuchh aur kah len jo chahen insan phir bhi samjhen
magar ye sach hai lain hain ye

kam-zarf aur haqir hain ye
ye danaon ke haq ko yaksar ghabi ko mohmal ko bechte hain

ye qaum-o-millat ka nam le kar usul-o-mazhab ki baat kah kar
naslen kitni tabah kar ke khetiyan apni sinchte hain

aur habab dil mein baiTha
main dekhta hun ye sochta hun

hai kaun mujrim in mein aaKHir
jo aaqa malik bana hua tha

ya wo jo bauna KHuda bana hai
ya phir wo dana shikast kha kar

idhar udhar jo bhaTak rahe hain
ya wo ghabi jo haq chura kar

KHuda ke KHitte mein aa base hain
ya main

ki tanha muhit-e-dil mein
mahz tamasha-bin bana hun